@untalented_adjustments (LIMITS OF A GIRL )

untalented_adjustments
limit_of_girls

12345.PNG

Wrong Assumptions!
Kisi bhi ladki ko kisi bhi ladke ke saath kabhi bhi akele nahi jana chaiye, kyuki aisa karne se waha ke log assume kar lete hai ki woh khud waha pe aayi hai aur unhe use touch karne ya, chune ka licence issue kar dia gaya hai.
Haans Ke Baat Nai Karni Chaiye
Kisi bhi ladki ko kisi bhi ladke se haans haans ke ya touch karke baat nai karni chaiye, kyuki wo use hint samajh lega. Hansi ko haan, aur uska jo natural human behaviour hai wo uske chaalu hone ka saboot ban sakta hai.
Wrong Thinking!
Raat ko ladkiyan jab sadak par jati hai toh gaadiyan slow ho jaati hai aur unke sheeshe neeche utarne lagte hai. Din mein yeh mahaan idea kisi ko nai aata.
Ladki Ko Ladke Ke Sath Nai Peena Chaiye
Kisi bhi ladki ko kisi bhi ladke ke saath baith kar sharab nai peeni chaiye, kyuki agar woh aisa karti hai toh ladke ko yeh indicate hota hai ki agar ladki mere sath baith kar sharab pee sakti hai, to woh uske sath sone se bhi katrayegi nahi.
Wrong Opinions!
Sharab ko yahan par ek kharab character ki nishaani mana jata hai...ladkiyon ke liye. Ladko ke liye nahi. Ladko ke liye ye sirk ek health hazard hai.
Venue Decide Karta Hai Character? Rock show mein hai toh hint hai, aur library ya mandir mein hain toh hint nahi hai? Venue decide karta hai character? Time Decides Character!! Hamare yaha ghadi ki sui character decide karti hai.
Independent Women Shahar mein ladkiyon ko alag nai rehna chaiye, akele nai rehna chaiye. Ladke reh sakte hai par ladkiya nahi. Independent ladkiyan ladko confuse kar deti hai.

Meaning Of No! 'Na' sirf shabd nahi hai...apne aap mein pura vaakya hai. Isi kisi tark, spashtikaran, explanation ya vyakhya ki jarurat nahi hoti. NO MEANS NO These boys must realise, 'No' ka matlab 'No' hota hai. Use bolne wali ladki koi parichit ho, friend ho, girlfriend ho, koi s*x worker ho ya apki apni biwi hi kyu na ho. 'No' means 'No'. And when someone says so you STOP!

`123456.PNG

H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center