Ek azeem khudayi tohfa.

IMG_20210718_005128_015.jpg
Source

Asslamu alaikum wa Rahmatullah.

Ek azeem khudayi tohfa.

Jb Nabi Kareem S.A.W ewan qudrat se rukhsat huye to aap ki ummat ke liye Allah taala ne ek azeem tohfa "namaz" ki surat me inayat farmaya.

Ek rawayat he ki Aap S.A W jb 50 nmaze or 6 maah ke roze le kr rawana huye to chate aasman pr Hazrat musa A.S ne mulaqat huyi, Aap ne Nabi kareem S.A W se puchha:

Allah taala ke yha se aap ko tohfa kya mila?
farmaya: "50 nmaze or 6 mahine ke roze"

Hazrat Musa A.S ne farmaya: mujhe apni ummat ka talkh tajurba he, aap S.A.W ki ummat itni ibadat ki mutahml nhi ho skegi.

Lehaza Aap dobara drbar khudawandi me jaye nmazo or rozo me kuch kami ke khwastgar hu.

Rawayat he ki Nabi Kareem S.A.W Hazrat musa A.S ke kehne pr bar bar darbar khudawndi me hazir huye.

Or riaya ki darkhwast krte rhe, yha tk ki din me 5 nmaze or saal me ek maah ke roze baki reh gye.

Musa A .S ne Nabi Kareem S.A.W se phir israr kya ki ek martaba phir jaye taki kuch or riayat ho ske.

Lekin Aap S.A.W ne farmaya ki khuda taala ne mere sath ek raham ka mamla farmaya he ki ab mujhe apne khuda ke paas jate huye sharm aati he.

Shukriya..


H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center