Hum sabhi internet access karte hai, kisi browser dwara. Jab hum koi website, web page ya blog kholte hai to hume bahut sare ads dikhai dete hai. Bahut sare ads aane se web page slow load hota hai aur battery bhi jyada consume hota hai. Hum sabhi google chrome, firefox aur opera browser ka use karte hai, jisme hume alag se ad blocker ke plugin ya phir software use karna padta hai.
Aur ek baat aur jo ads dekhte hai usse sirf publishr, advertiser aur middleman ko fayda milta ahi. Lekin aaj ki iss post mein hum baat karne wale hai ek aise browser ke bare mein jo aapke browsing ko safe aur annonymous rakhta hai, iss browser per ads aur tracker sab blocked hote hai. Yeh browser ad dikhane se pahle apse puchta hai ki aapko ad dekhna hai ya nahi. Agar aap ad dekhte hai toh aapko iske pay bhi karega, ji haan yeh browser blockchain technology ka use karta hai.
Toh chalie iss browser ke bare mein jaan lete hai, iss browser ka naam hai Brave Browser(yeh browser Firefox ke ek former developer dwara develop kiya gaya hai ). Iss browser ko completely user ko dhyan mein rakhkar banaya gaya hai. Aap iss browser ko yaha se download kar sakte hai. Android IOS aur desktop ke liye.
- Android mein setup kaise karet hai Brave Browser.
- Sabse pahle aap isse download kar lijie.
- Download karne ke baad aap ise open kijie. Open karne ke baad upper right corner per BAT(Basic Attention Token ) per click kijie aur yaha par Brave reward ko enable kar dijie.
Brave Browser setup toh humne kar liya aab hum aapne earning ko withdrawkaise karenge. Iske liye apko uphold account banana hoga bilkul easy, Uphold.com ke homepage per jaye aur aur signup per click kare (Direct link to signup) yaha per se accunt banaye, aur aap dono kam brave browser se karenge toh dono accont khud se connect ho jaega nahi to apko manually karna hoga.
Iske liye steps niche diye gaye hai -
Sabse pahle apko publishers.basicattentiontoken.org per jana hoga, phir yaha per aapne jo email address uphold per diya hai yahi e-mail address yaha per bhi dale, yaha per apko password nahi dalna hoga, har bar log in karte samay e-mail dalna hoga phir apko uss e-mail per ek mail milega jo basically ek sign in link hoga, uss per click karke aap log in ho jayenge.Yaha per aapko uphold account karne ka option milega connect kar dijie aapka kaam ho jaega.
Jab apke account mei lagbhag 10$ ke BAT ho jaenge to yeh apke uphold account mei transfer ho jaega.
Phir aap uphold se chahe to Bitcoin, USD, ya phir Indian Bank Account mei bhi transfer kar sakte hai.Agar apke pas khud ka blog/website ya phir youtube channel hai toh bhi aap BAT token earn kar sakte hai.
BAT reward ke dashboard mei hi apko add chabbel ka option milega, us per click kare aur apne blog aur youtube channel a phir koi bhi ko add kar de, verification ke baad agar koi dusara Brave Browser user apko tip deta hai to yaha se apko earning hogi. Aap ise refer bhi kar sakte hai, her refer ke apko 5 $ milenge.
Toh yeh tha Brave Browser, mai iss browser ko eight months se use kar raha hun yeh ekdum legit browser hai. Apko bata de ki iss browser ko Brenda Einch(Creator of Javascript) aur Mozilla ke former CEO ne milkar iss browser ko banaya hai. - Brave Browser ko download kare.
- Learn how to Blog.
- Current Affairs.
Sponsored ( Powered by dclick )
Introducing DCLICK: An Incentivized Ad platform by Proof of Click. - Steem based AdSense.
Hello, Steemians. Let us introduce you a new Steem B...